Andaz – e – Mohabbat

(May Peace be upon all the prophets whose names are mentioned in this poem/shayri)


Jab baat nikalti hai muhabbat ki sada, to lafz ba lafz yaad kiya jata hai Majnu ki muhabbat ka falsafa

Kya muhhabat thi wo jo majnu ne laila se tha kiya, ishq – e- hakkiki ka andaz hi badal diya

Per kya khoob khuda ne muhabbat ko samjaya, Aasiya ke dil mai musa ke liye pyar jagaya

Musa ki muhabbat ka Quran mai zikr karvaya , ki kaise khuda se qalaam karke haroon ko apna sathi banvaya – Aur paigam –e – khuda wandi phiroan tak pounchaya

Namrud, Qarron, aur Phiroan ka bhi bataya, ki kaise muhabbat –e- maal –o – hirsh mai khud ko fana o barbad karaya

Seba ko muhabbat thi apne takth – o – taaj se, so khuda ne sulaimen ki hiqmat-o-quwat se wo bhi mangvaya

Aur Suleiman ko thi muhabbat Ilm – o- hiqmat se, to wo bhi aata farmaya

Jab baat Ishq –e – hakkiki ki ho to Dawood ka zikr farmaya, aur usse meethi awwaz mai geet gavaya,

Pahad- o – samandar – aur dharakth ko jhumaya, Kaisi ye muhhabt thi ki – parindoon ko bhi bulaya

Muhabbat bhi kya thi wo ki Baap ke ishq mai, beta se qurbani ke liye haa bhi bulvaya

Aur makam –e – qurbani per khaas maindee ko bhejvaya

Lot se muhabbat ka aasli namuna bhi batlaya, jab Ibrahim ne kaha malaeeka se ki be kusoor hai mera bhai lot – usse bachana

Kya muhabbat thi Lot ki khuda se – ki kehdiya dushmanoon ko ki lelo meri betiyoon ko, magar chordo mere mehmanoon ki iizzat – e – ruhana

Yusuf ko judaa karke samjha bhaiyoon ne ki khatam huwa ab aaba ki muhabbat ka dastana, magar kya muhabbat thi wo jo rula rula kar kardiya nabeenaeen zamana

Zulekha ne kaha yusuf zara pass to aana, wo muhabbat hi to thi jisne banaya zulekha ko yusuf ka deewana

Zina ka paigam tha magar yusuf nahi mana, kya muhaabat thi yusuf ki khuda se, ke daryaft kiya usne rab se himmat-e – mardana

Kaat li sadiyaan qaid mai, magar phir bhi nahi mana, aakhir kya muhaabat thi wo khuda se – ki duaoon ke zarye nikalne ka rasta banvaya

Benyamin ko jab dekha yusuf ne to roo pada dil aahsaas-e- muhabbat mai, aur puch liya baatoon mai ki bhai kya haal hai aab ka, aur kaha hai unka theekhana

Jab sunga yusuf ka kapda to jag uuthi wohi muhabbat jiska sadiyoon se zoakh tha, aakhir bete ki wapasi ka intezar Aaayub ko hi to tha

Jab baat huwi yahood ki, to musa ka tha naara – Per jab huwe Essa to yahood nahi mana

Jab Imran ne manga rab se muhhabat mai ek beta jo ibadat kare rab ki din raat do zana, huwa kuch uun ki Maryam ka tha aana

AAkhlaq –e – Maryam dekh kar manga zakriya ne ye dua, ki ee rab aata kar tu mujhe aulad jo ilm, hiqmat aur teri muhabbat ki rah se pounch jaye tere waha

Jab huwa yahya to zakariya bahut khush huwa, ab koi to tha apna jisse wo muhhabat tha kar saka

Yahya ko shook tha ilm –o – hiqmat ka, Jiski wajah se intezar mai tha wo essa-ibn- Maryam ka

Keh diya Maryam ne gibrael ko ki pass mat aana, agar khuda ke bande ho to chup chap chale jana – Kya baat thi wo ki rab ne gibrael se bulvaya, ki essa hoga e Maryam tujhe bus paigam ye tha batana

Essa per to pure eesaeoon ko fakhar hai, Magar kya muhabbat thi wo essa ki huzur se, ki mang li dua dhuniya mai wapas aane ki ummat –e – Muhammad mai

Bete se muhhabat hoto koi Abdul Mutallib se puche koi, Abdullah ki zindagi ke khatir kitne oont ziba kiye

Wo muhhabat bhi kya thi – ki Muhammad ko rulwaya, bachpan hi mai leliya unki maa ka saaya

Phir jab umer huwi to abu talib ki neegrani mai rakhaya, aur jab thode jawa huwe to tijarat ke zarye khadiya se milvaya

Kuch saal hi to the sath mai, phir Iqra – gibreal se padvaya, aur gaar –e –hira mai khudka taa’aruf karvaya

Waratelil Qu’ranna tarteel ke zarye sabr seekhaya, phir quran ke zarye dhuniya mai noor tha chaya

Wo aakhlaq bhi kya the ki zaeefa ke dil mai samaya, kalma bin bole – kalma padaya.

Umar ki baat to dhuniya ko pata hai, ishq tha usse haq se ye zamana bhi gava hai

Bilal ki ahad aur aza ko pure madina ne suna hai, us rait ko pucho jaha bilal ka khoon gira hai

Muhabbat agar seekhni hai to koi usman se seekho, haya ki chadar hamesha pehente the wo

Khalid ko muhabbat thi sirat ul mustaqqem se, isleye nikaal di zindagi jang ke maidan mai kafiroon ki gardaneen maarte huwe

Koi puche to zara Hasan aur Husain ko kaise the unke nana, kasam hai khuda ki missal thi wo muhabbat ki jiise pure aalam ne hai jana

Kya muhhabat thi paid ko – ki wo bhi ro pada, aakhir ab qutbe ke liye mimbar jo tha bana

Kya shaan thi Muhammad ki ke pura aalam tha ro pada, aisa koi insa na kabhi tha na kabhi hoga

Insaanoon ne chaha ki muhhabat ko baya kare, magar bhool gaye wo ki sirf laila majnu hi nahi muhabbat ke hazaroon aur bhi kismme hai

Maa baap aur bacheen mai ho, ya ho bhai ko bhai se, kisi ko to hoti hai muhabbat dhuniya ki ruswaiyee se

Koi doob jata hai dhoke mai muhhabat samaj ke, aur koi gul jata hai kun fa ya kun ke qual mai

Ye muhhabat ka raaz kuch hi samaj sake, sabke bas ki baat nahi ki Gani se muhabbat kar sake

Kya khoob naam hai Rab ka, jisme Gani bhi shumar hai – Jo khud hi khud mai khush hai wahi to hakkiki muhabbat ka raaz hai

— Abdul Gani Punjabi

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.